Tuesday, 6 August 2013

JUGNOON KA BASERA


Kisi jungle main jugunoon ka beserra hua karta tha...
Woh Sab jugnoo be aaj khud ki roshni tallash rahe honge..
Tim-timate, rang-bringe roshni se bare peele rang woh..
Udathe hue tare hua katre the...
Na zameen par, na aakash par
Roshni ka woh chota sa besera hawa main hua karta tha...

Ek roz apni khidki se dekha tha maine..
Samne ka woh  muddaton purna ped,vjo peele roshni main dhoob raha tha...
Koyale se kali raat main bhala itni chamak jo the....
Par na jane woh jugnon ka beserra  kahan kho gaya...
Ab ped be khada khada thak gaya hai...

Aachanak kaha gaya woh pelle roshni wala jugnoon ka beserra..
Kho gaya shayd....!
Har roz muje intezaar rehta hai us roshni ka..
Har din apni khidki se dekhta us udaass ped ko...

Neerash, aandhere ki chaadar main gum-sum sa khada rehta hai aab..

No comments:

Post a Comment